INTRESTING FACTS YOU NEED TO KNOW ABOUT AJMER 🌍🇮🇳Ajmer- Ajmer city rajasthan ke northern indian state mai aata hai ajmer india sahit pure world mai ajmer sharif dargah, anasagar, adhai-din-ka-Jhonpra etc.ke liye famous hai, ajmer ka sabse pehla or purana naam ajaymeru tha 27 march 1112 ko chauhan vansh ke 23 ve raja ajayraj chauhan ne 27 march 1112 ko ajaymeru ki sthapna ki thi aage chalke ajaymeru se iska naam badal kar ajaymer hua phir ajmer hua ,Ajmer ko rajasthan ka dil bhi kha jata hai .
Places to visit in ajmer ~
1. Ajmer sharif dargah
|
Add caption
|
Ajmer sharif dargah pure worldwide famous hai,
Ajmer sharif dargah opened-1236
Architectural style - modern architecture
Ye dargah ajmer sharif bharat ke rajasthan ke jila ajmer mai hai sufi Moinuddin Chishti Khwaja Garib Nawaz ki dargah hai ye yah Dargah Mughal emperor Humayun ke under construct Hui Hai yha Moinuddin Chishti Khwaja Garib Nawaz ka Maqbara hai yha log aakar unke Maqbare par Chadar chadhate Hain,bharat sahit puri duniya se tourist dargah aate hai ye Muslims ka sabse main religious place hai yha india ke sare religion ke log aate hai ,Khwaja Garib Nawaz Sharif mai vishwas karte hai ,dargah ajmer ki sabse badi tourist attraction hai yha uche nich ka amir garib ka bhedbhav nhi yha sab jaati,dharma ke log aate hai , aur Yahan Khwaja Garib Nawaz Ajmer Sharif Dargah Mein Har Sal bahut sara chadhava aata hai jo Yatri Yahan Aakar Jo Unse banta hai utna chadhava Chadhate Hain Log ismein Sona Chandi gehne paise Sab Deg mai chadhate Hain .
🕰Opening closing time
4 or 5am to 9 or 10pm depending on season
2. Adhai Din Ka jhopra
Architectural style: Indo-Islamic architecture
🕰 Opening closing time
6am-7pm
Adhai Din Ka jhopra Rajasthan ke Ajmer Shahar Mein sthit Hai Ya Ek Masjid hai, Mana jata hai ki is ka Nirman sirf Aadha Din Mein hua tha isiliye iska naam adhai Din Ka jhopra padh Gaya . Yah adhai Din Ka jhopada pahle Ek Sanskrit Vidyalay Hua Karta Tha Jise Mohammad Gauri ne 1198 mein Badal Diya ye Masjid Ek Deewar se Ghiri Hui Hai jismein Sath mehrabe Hain Jin Par Quran Ki aayaten likhi hui hai . Hayat ke abubakar dwara design ki Gai Masjid Bhartiya-Muslim VastuKala ka ek best example hai.
3. Anasagar lake
Anasagar Lake artificial lake Hai yah india ke Rajasthan ke Ajmer Shahar Mein sthit Hai. Anasagar lake aur Ajmer shahar ka Nirmaan Prithviraj Chauhan ke Dadaji ne karaya tha year (1135-1150 ) ke bich,unka naam Arnoraja aur
Aanaji tha the king of ajmer. Is Jheel Ka Nirman Raja Aanaji Ne karaya tha isiliye is Jheel ka naam Aanasagar jheel padha. is jheel mai jhagrahi Jani Jal dalne ka kam vahan ki local public ne kiya tha.
Iss Jheel se Ajmer bahut Khubsurat Dikhta Hai yah Jheel Ajmer ki Shaan Hai anasagar Lake Ajmer ke bicho bich hai. Anasagar bahut peaceful Jagah hai agar aap Ajmer visit karte ho to anasagar Jarur Jana. Jis Tarah Hinduism main log Ganga ko Pavitra mante Hain Usi Tarah Muslim log anasagar Lake ko mante Hain.
Max. depth: 4.4 m (14 ft)
Area in length: 13km
4. SONIJI KI NASIYA
Soniji ji ki nasiya Rajasthan ke Ajmer Jile mein Prithviraj Chauhan Marg Par sthit Ek mashhur Jain Mandir hai. Yah Soni ji ki nasiya ke roop mein Ajmer sahit Rajasthan ke ke lokpriya Jain Mandir Mein Se Ek Hai, yeah Ajmer Mein Yatra karne ke liye bahut acchi Jagah hai. Ajmer ka darshniya Sthal Soni Ji Ki nasiya ka naam सिद्धकूट चैत्यालय है
ke ke lokpriya Jain Mandir Mein Se Ek Hai, yeah Ajmer Mein Yatra karne ke liye bahut acchi Jagah hai. Ajmer ka darshniya Sthal Soni Ji Ki nasiya ka naam सिद्धकूट चैत्यालय है
Soni ji ki nasiya mandir ki Neev 10 October 1864 ko Rai Bahadur Seth Moolchand Chand aur nemichand Soni ne Rakhi gai thi , aur isase 26 Mai 1865 Mein GarbhGrah mai "AgniDev" ki Chhavi ke sath Shishyo ke liye khola Gaya.
Soniji ki nasiyan Jain Dharm ke 24 Tirthsthal mein se sabse pahle number per Aati Hai is Jain Mandir ko Lal Mandir ke roop mein bhi Jana jata hai 1895 mai Swarn nagri ko Mandir Mein jode jaane ke bad ise lokpriya Roop se Sone Ka Mandir ya Soni Mandir Kaha Jaane Laga jismein Swarna sanchalana ke sath sath Parivar ka naam bhi Shamil tha.
🕰 Opening closing time
8:30 AM to 4:30 PM
Explore the beautiful gold architecture of jainism-india .
5. TARAGARH FORT AJMER
Taragarh Fort aur star fort Rajasthan ke Ajmer Shahar Mein sthit Hai, Taragarh Fort year 1113 Mein bana Ajmer ke unche Pahadi ilake mein Taragarh fort ajmer Aravali mountains ke top per banaa hua hai yahan per bohot beautiful view Aata Hai yha bohot peace hai Taragarh Fort Prithviraj Chauhan Ke Pitaji ajaypal Chauhan ne banvaya tha, Taragarh fort mai jane ke teen gate hai Lakshmi Pol , phuta Darwaza, aur Gagudi ki Phatak.
6.FOY SAGAR LAKE
Foysagar lake bohot sundar jheel hai agar agar aap ajmer visit Karen tho foysagar lake jarur visit karna .ek artificial lake hai jo ki British shashan ke time mai mr.foy ke under mai 1892 mai bani thi, mr foy ek engineer ( British architect) the foysagar jheel ka Nirmaan sukha rahat Pariyojna ke hisse ke tahat kiya gaya tha iss yojna mai sukhi banjar zameen ko upayogi banane par kaam kiya jata tha .isme 360° angel view aata hai aap yha foysagar beauty ke sath sath aravali mountain ke beautiful view ka bhi maza utha sakte ho yha aapko bohot or beautiful natural vibe milegi must visit foysagar lake ajmer.
🕰 Opening closing time
06:00 AM - 07:00 PM
Ideal time to visit at evening
🕰5:00 PM - 7:00 PM
ADDRESS:
From Ajmer Railway Station to Foy Sagar Lake via NH58 and Foy Sagar Rd.
For the best route in current traffic visit https://maps.app.goo.gl/UwtnWY8kGLz45XZy9
7.SAI BABA MANDIR
Sai baba ka mandir ajmer ke rajasthan mai hai ye bohot hi khubsurat jagah hai aap kisi bhi dharm jati ke ho aap agar vishwas rakte hai tho yha akar aap darshan jar sakte hai sai baba temple ajmer ke ajay nagar 5 biga ya 2 ekad se Adhik ke shetrafal Mein faile Ve prasiddh Sai Baba mandir ka Nirman 1999 Mein Ajmer ke Suresh Lal ke dwara Kiya gaya tha Jo Ajmer ke lokpriya Tirth sthalon main se ek mana jata hai , aur iski architect engineering designing ke mutabik yah Mandir Ajmer ke sarv shreshth vastukala wale Mandir Mein Se Ek Hai .
Sign Baba Mandir Ajmer mein bahut lokpriya Aur prasiddh Hai, aapko Bata De ki Mandir ko ke sangmarmar ke Shuddhtam ke Roop ke sath Banaya Gaya Hai jismein parbhasi Pathar Ki ki anoothi gunvatta dekhne milati hai jo ki bhakton ko aur tirthyatri ko Aur Vastu Kala premiyon ko bahut lubhati hai hai aur aakarshit karti hai, sign Baba Mandir Ajmer ke lokpriya Pavitra Tirth Sthal on mein se ek hai agar aap Ajmer Aaye To Yahan Jarur visit Karen aur Yahan aap Shanti main Khubsurat Bhakti ka Anubhav Karenge
🕰 Opening closing time
opening of the temple is at 4' o clock with kakad aarati inthe morning and closing is at 10 pm after shej aarati. over a year ago.
Shared route
From Ajmer Railway Station to Sai Baba Temple Ajmer via Beawar Rd.
11 min (4.2 km)
11 min in current traffic
ADDRESS:
1. Head south on NH58 toward Madar Gate Rd
2. Turn right onto Martindale Bridge
3. Turn right
4. Turn right onto Ajay Nagar Rd
5. Turn left toward Nehru Co-operative Housing Society Road
6. Turn left onto Nehru Co-operative Housing Society Road
7. Turn right
8. Turn left
9. Arrive at location: Sai Baba Temple Ajmer
For the best route in current traffic visit https://maps.app.goo.gl/d23vcpUBhyVkL
8.AKBARI FORT & MUSEUM
India ke Rajasthan ke shahar Ajmer mein sthit Akbari fort and museum ka Nirman 16th century naglok ke shasan mein Badshah Akbar dwara karaya Gaya Mughal Badshah Jahangir ne Apne shasankaal ke Samay 1613 se 1616 Tak is kile se saniye Abhiyano ka sanchalan Kiya gaya tha
Iss kile ka prayog Mugal Samrat Jahangir aur Mughal Darbar ke Angrej Rajdoot sir Thomas Roe ki baithak ke roop mein kiya gaya tha Yah Mahal Samrat aur unke sainikon ke rukne ke liye Sahi Hota tha Jab vah Ajmer Mein Hote the, vaise to Akbar ki rajdhani Agra per unhone vahan na Mahal banva kar 15070 mein Ajmer ke naye Bajar Mein Kila banvaya uska naam Akbari Kila Rakha
Rajasthan mein sthit Ajmer ke aitihasik Kile Akbar ka Daulat khana ,magzine Kila, aur Ajmer ka kila bhi Kaha jata Akbar Har Sal Khwaja Garib Nawaz ke darshan ke liye Ajmer Aate the aur iske liye Mein the aur Rajputana yuddh Pratiyogita mein bhi Bhag Lene Aate the Har Sal aur Yahan Unki Saina aur badshah akbar thera Karte The, iss kile ke
Mukhya Dwar ko Jahangir darvaja bhi Kaha jata hai, Kyunki samrat Jahangir is darvaje Mein baith kar Janta ka nyaay Karte The aur Darshan dete the , yah Akbari Kila bahut historical Stories se bhara bda hai , Yahan aap Jarur visit Karen ye Kila ab government ke under mai hai iss ab ajmer + museum bana diya Gaya ha yha aapki knowledge bahut gain Hogi history ke liye aur aapko bahut si chijen Janane Milengi purani baten Parampara janenge aap Ajmer Jaaye to Yahan Jarur visit Karen.
🕰OPENING CLOSING TIME
9:45 AM-5:15 PM
ENTRY FEE FOR INDIAN -10 RS PER PERSON
FOR FOREIGNERS - 50 RS PER PERSON
9. Subhash Udyan ( DAULAT BAGH )
Daulat Bagh Rajasthan ke Ajmer Shahar Mein sthit Ek Udyan hai Daulat bagh Mughal Badshah Jahangir ne 16th century anasagar Jheel Ke nikat banwaya tha Yahan ped paudhe ghas lagwaye Gaye bad Mein Jangir Ke bete Shahjahan Ne anasagar AnaSagar Jheel par baradari or Bagicha banvaya.... unhone Maratha Raja Daulat Rav Sindhiya ke naam se Jahangir ki aur se banae Gaye bagiche ka naam Hue bagiche ka naam Daulat Bhag Rakha. Azadi ke bad Indian government Ne iska naam badalkar is ka naam badalkar Daulat Bagh se Azadi Ki Ladai Mein Shamil Subhash Chandra bosh ji ke naam per Rakha Subhas Udyan rakha agar aap Ajmer aaye to Subhash Udyan ka Daulat Bagh Jarur visit Karen ya Ajmer ka sabse sundar Bagicha hai yahan per aap Daulat Bagh ki sundarta ke sath anasagar jheel ki sundarta Ka bhi nazara dekh sakte hai must visit Daulat Bagh ajmer.
🕰 OPENING CLOSING TIME
6AM-10PM
ENTRY FEE-5 RS FOR ABOVE 12
ENTRY FEE -3 RS FOR KIDS
10.NARELI JAIN TEMPLE
Nareli jain temple ajmer se lagbhag 7km ki doori par hai nareli jain mandir digambar jainiyo ka tirath sthan hai ,ye mandir sangmarmar ke Pathar Se banaa nareli Digambar Jain temple apni Vastu Kala Aur sundarta , Pathar per nakkashi kalakari ke liye tirthyatrio aur Nagar vasiyon mein bahut mashhur hai or lokpriya hai . Yah Mandir Puri Tarah pattharon Se Bana hai aur Charo aur Se Sundar Bagicho Se Gira Hua Hai hai Logon ke anusar ye mandir ichao ko Puri karne Jivan Mein samriddhi laane ke liye Jana jata hai . Mandir mein Pahli Manzil par hall mein Guru Aditya Nath ji ki 22 feet uchi Vishal Murti hai jismein Upar ki pahadiyon per Anya TirthKar Ke 24 Laghu Mandir hai . Upar Se Dekhne Mein bahut Sundar view Aata Hai , is mandir ka Nirman RK Marbles ke Shri Ashok Patni dwara Kiya Gaya.
Creator-Ashok Patni, Dinnath Jain, RK Marbles
In year-1994
ENTRY FEE ONLY FOR BUSES -200RS
NO ENTRY FEE
11.Birla city water park
Birla city water park Ajmer city Ke Logon ke liye attractive aur chill karne ki place hai Ajmer city Ke Log Aur aaspaas Ke Gaon Kasba Ke Log Yahan Aakar summer season mein bahut enjoy Karte Hain Yahan per adventurous rides, beautiful placement ke sath Park ko bahut khubsurti se Sajaya aur Banaya Gaya Hai Yahan daily bahut hi zada bheed hoti hai , Ajmer Ke Shahar vasiyon ke liye bahut hi joyful Place Hai aap Sabhi Ajmer Aakar is Jagah ka maja Utha sakte hai, Yahan khane ki vyavastha bhi uplabdh hai yahan pani ke sath enjoyment karne ke bad Bhookh Lagne par aap yha ke swadisht khane kamaza utha sakte hai , Yahan Har chij Ki vyavastha Hai.
Aap Ajmer aaye to Birla city water park Jarur visit karen.
🕰 OPENING CLOSING TIME
11:30AM-6:00PM
ENTRY FEE-🎫
450 RS PER PERSON FOR ADULT
300 RS FOR LESS THAN 4 FEET
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete💓🙌
ReplyDelete